in ko bhi hai kisi say buhut pyar sajana

ankhon main ansooyun ki lariyun say pooch lo
sawan kay sang behtee jhariyun say pooch lo
poocho to zara behee naddiyun say pooch lo
kyun behtee hain yay aisay saddiyun say pooch lo
in ko bhi hai kisi ka intizaar sajana
in ko bhi hai kisi say buhut pyar sajana

koel ki kook main bhi sadayen ajeeb hain
sadiyun say naam latee hawayen ajeeb hain
sun sako to boltee nigahon ko suno tum
sang apnay bulatee hui sadaon ko suno tum
un ko bhi hai kisi ka intizaar sajana
un ko bhi hai kisi say buhut pyar sajana

Boht khoob. :)

thnx HeArT HaCKeR :flower1:

gr8 reet

nice 1

:)

Bohat khoob reet.. :k:

Reet Ji,

Hazir Khidmat hai:

tuu milaa hai to ye ehasaas huaa hai mujhako
ye merii umr mohabbat ke liye tho.Dii hai
ik zaraa saa Gam-e-dauraa.N kaa bhii haq hai jis par
mai.n ne wo saa.Ns bhii tere liye rakh chho.Dii hai
tujh pe ho jaauu.Ngaa qurabaan tujhe chaahuu.ngaa

terii har chaap se jalate hai.n Khayaalo.n me.n chiraaG
jab bhii tuu aaye jagaataa huaa jaaduu aaye
tujhako chhuu luu.N to phir ae jaan-e-tamannaa mujhako
der tak apane badan se terii Khushbuu aaye
tuu bahaaro.n kaa hai unawaan tujhe chaahuu.Ngaa

Khair andaish

Saqi