kartay nahi wo dar pay mere KNOCK in dino
kya kar dia kisi ne unhein LOCK in dino
kya VOLTAGE barq-e-nazar ka gira dia
lagta nahi hai dil ko mere SHOCK in dino
is jins ka to koi khareedaar hi nahi
is dil mein chaahaton ka hai STOCK in dino
daarhi pay Sheikh Jee nay chalaaya hai ustara
kya chal rahi hai un ki kahin TALK in dino
roz ek naee shabeeh say parta hai waasta
Dil hai BLACK BOARD, nazar CHALK in dino