~*~ In ajnabi raahoon mein nahe koi bhi mera ~*~

*Sun lee jo Khuda ne woh dua tum tau nahe ho
Darwazay pe dastak ki sada tum tau nahe ho

Simti huwi sharmai huwi raat ki raani
Soee huwi kaleyoon ki hayyaa tum tau nahe ho

Mehsoos kiya tum ko tau geeli huwi palkain
Bheegay huwe mausam ki ada tum tau nahe ho

In anjabi raahoon mein nahe koi bhi mera
Kis ne mujhe yun apna kaha tum tau nahe ho …
*