kuch pehle in aankhon aage kya kya na nazara guzre tha
kya raushan ho jati thi gali jab yar hamara guzre tha
the kitne ache log k jinko apne gam se fursat thi
sab puchen the ahawal jo koi dard ka maara guzre tha
ab k to khizan aisi thehari wo sare zamane bhul gaye
jab mausam-e-gul har phere main aa aa k dubara guzre tha
thi yaron k buhtaat to ham aghyar se bhi bezar na the
jab mil baithe to dushman ka bhi sath gawara guzre tha
ab to hath sujhai na dewe lekin ab se pahle to
ankh uthate hi ek nazar main aalam sara guzre tha