Tamam sawal hull karnaY haiN
Koi choice Vooice nahiN hay
mairee marzi jissay chahooN paas karooN
jissay chahooN fail
Sawal Nambar aik
Tehni pay kissi shajr ki tanhaa
BULBUL thaa koi Udaas baithaa ----
BulBul Udaas kiyooN thaa ???
Sawal Nambar doo
Jack and Jill PaHaRr kay ooper pani lainay kiyooN gaeY thaY
(a)unn kay ghar maiN nalka nahiN thaa
(b)unn kay abba jee nay pani ka bill nahiN diyaa thaa
(c)aWieN poondi karnay gaeY thaaY
Sawal Nambar teen
Agar 2 khawateen aik kaam 1 dinn main karti haiN
tu 4 khawateen woo kaam kitnaay saal maiN karaiN gi ??
Chaloo shroo hoo jao
^-- lagta hay aaj “rePair shOp” may kaafi saNNaata hay
PS:
is imteHaan may phaRRary chal saktay hain kiya
jawab e parchaa
Sawal 1: Bulbul ko tankhawa jo nahin milli thee. ( waisay bulbul baitha THA ke Baitthee Thee)
Sawal 2:Woh do premi Pahar ke uper Gali gali main shor shor shor
(pani wani ka koi chakkar nahin tha)
Sawal 3: Then there will be no work( just impossible) only gup shup
Re: jawab e parchaa
*Originally posted by Raza750: *
Sawal 1: Bulbul ko tankhawa jo nahin milli thee. ( waisay bulbul baitha THA ke Baitthee Thee)
Sawal 2:Woh do premi Pahar ke uper Gali gali main shor shor shor
(pani wani ka koi chakkar nahin tha)
Sawal 3: Then there will be no work( just impossible) only gup shup
1 . bulbul baithaa thaa - MAIL bulbul thaa
2 . They were not Premiz
3 . RIGHT
Re: Imtehani Parchaa --
[QUOTE]
Sawal Nambar aik
Tehni pay kissi shajr ki tanhaa
BULBUL thaa koi Udaas baithaa ----
BulBul Udaas kiyooN thaa ?????
[/QUOTE]
bijli chalee gai thee aur usko nazar naheen aaraha tha
[QUOTE]
Sawal Nambar doo
Jack and Jill PaHaRr kay ooper pani lainay kiyooN gaeY thaY
(a)unn kay ghar maiN nalka nahiN thaa
(b)unn kay abba jee nay pani ka bill nahiN diyaa thaa
(c)aWieN poondi karnay gaeY thaaY
[/QUOTE]
poondi karnay
[QUOTE]
Sawal Nambar teen
Agar 2 khawateen aik kaam 1 dinn main karti haiN
tu 4 khawateen woo kaam kitnaay saal maiN karaiN gi ??
[/QUOTE]
4+ days
Bulbuli SARS ki wajah se quarentined thi
Jack and Jill shower lene gaye thay pahar per
4 khawateen jahan jama hojayein wahan kaam nahi sirf phadda hota hai
Re: Re: Imtehani Parchaa –
Na-LaiQ talib e ILm
Gadha
April 23, 2003, 5:27am
9
Re: Imtehani Parchaa –
*Originally posted by James_Bhaand: *
Sawal Nambar aik
Tehni pay kissi shajr ki tanhaa
BULBUL thaa koi Udaas baithaa ----
BulBul Udaas kiyooN thaa ???
kiouN kay bulbuli kissi aur kay saath andheri raat maiN kahiN aur beTThi thee:smokin:
*Originally posted by James_Bhaand: *
Sawal Nambar doo
Jack and Jill PaHaRr kay ooper pani lainay kiyooN gaeY thaY
(a)unn kay ghar maiN nalka nahiN thaa
(b)unn kay abba jee nay pani ka bill nahiN diyaa thaa
(c)aWieN poondi karnay gaeY thaaY
I like jack N’ Jill candy:love:
khawaateen say saal nahiN poochaa kartay:D:nono3:
Re: Re: Imtehani Parchaa –
Awara bulbuli - mazloom bulbul
P_G
February 16, 2006, 5:00am
11
Re: Imtehani Parchaa --
**
[QUOTE]
Tamam sawal hull karnaY haiN
Koi choice Vooice nahiN hay
[/QUOTE]
**
kanjoos teacher ,choice bhi nahi daytay
**
[QUOTE]
*mairee marzi jissay chahooN paas karooN
jissay chahooN fail *
[/QUOTE]
maire bhi marzee main percha hal keroon ya nahi phir
**
[QUOTE]
Sawal Nambar aik
BulBul Udaas kiyooN thaa ?????
[/QUOTE]
james bhaand nay us say jo Anday udhar per leye thay us kay paisay abhi tuk ada nahi keye thay
[QUOTE]
Jack and Jill PaHaRr kay ooper pani lainay kiyooN gaeY thaY
[/QUOTE]
un ki marzee woh pahar say paani lain ya Nulkay say ..dosron kay zaati mumalat main dakhal daynay ki kia zaroorat hay
**
[QUOTE]
*Agar 2 khawateen aik kaam 1 dinn main karti haiN
tu 4 khawateen woo kaam kitnaay saal maiN karaiN gi ??
*
[/QUOTE]
woh kion kam karain ge un kay husBAAnd kis kam kay ley hain
**
[QUOTE]
Chaloo shroo hoo jao
[/QUOTE]
app ko marna ?********
Re: Imtehani Parchaa –
oye yeh Unees soo PaintaaLees ka dhaaga kyon ooper lay aaieN
Mods mujhay Ban kar daiN gay
P_G
February 16, 2006, 5:20am
13
Re: Imtehani Parchaa --
kion baan ker dain gay ..maini kisi community main aisa rule nahi dekha ..
i like this thread so i replied ..dontworry kuch nahi hota
Re: Imtehani Parchaa –
OK :chusni:
Aur ab mairee neend kay maaray halat kharab ho rahi hay
3 ghantay say match ka intezar kar raha thaa - match shroo hua tu neend a gai
Subah naukri bhi karni hay
Mujhay jana hoga * Snifff Snifffff *
AQ
February 16, 2006, 5:23am
16
Re: Imtehani Parchaa --
some Lash Pash answers there :P
P_G
February 16, 2006, 2:03pm
17
Re: Imtehani Parchaa --
sadaf > yane main first ayee hoon sub main ?
James_bhaand> app result kub anonuce kero gay ?
anwar_q> where is ur pash lash answers? mere cheating to nahi ker rahay ?
* pg apni copy per hath rukh ker chupaing *
P_G
February 16, 2006, 3:29pm
19
Re: Imtehani Parchaa --
^ app nay teacher ko rishwat dee hay jo itnay aytmanan say bethay hain ?
Sadaf
February 16, 2006, 5:44pm
20
Re: Imtehani Parchaa --
yaar PG tum first nahin balke first se bhi aagay aaie ho :D
Main ne marks to day diye, do so bata so 200/100