imtahaan poem

Kasrat say supliyoon kay ukta gaya hoon ya rab
Kia lutf imtihan ka jab dil hi bujh gaya ho

Bhagoon main imtehan say del dhoonta hai mera

Wo mumtahin kay jis pay dolat meri fida ho

Main naqal pay hoon marta yah arzu hain meri

Kamra - e - imtahan main chacha mera laga ho

Saman naqal ka ho toffee kay kaghazoon main

Kamrai - e - imtehan man buti hi runoma ho

Manoos is qadar ho surat say meri nigran

Nannay say dil main meray us ka n a dar zara ho

Ho dilfarib aisa kuch naqal ka nazara

Na naqal karnay wala uth uth kay daikhta ho

Kamrai - e Imtehan man soya hoa ho nigran

Phir phir kay naqal karna meray liyee rwa ho

Pahli nashist ho ya hoon aekhri nashistain

Manzar yahan say wahan tak bas naqal ka bapa ho

Har talib-e- sanad ko paygham yah suna day

Mahnat jo kar rahay hain un ko zara JAGA day

…hahahahahahhahahahaahah…
i wish v also got this system

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

.
lolz

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif

ruko beta, iqbal ki rooh qabar se nikal ke tumhaare paas aati hi ho gee…
phir dekhna

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smash.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smash.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smash.gif