Ibn e safi marhoom Allah janat naseeb karay, kia khoob lekhte the. A. AllahAbadi ke kerdar 'khan' or balay bhi behad umda kerdar the. log kehay hain ke safi marhoom ki jasossi dunia ke kerdar khan or balay se liay gay the, iss waja se safi sahab ko Imran ko takhleeq karna parra. Ghalban 113 Imran series ke or issi tarah 100 se ziyada jasoosi dunia ke. pak main humari libray main donu series ka pora set bama e khan o balay ka parra howa hay. inshallah zindagi rahi jab jain ge to phir se pharrain ge.
**
yehaN janaab e Ibn e Safi ke baare meN discussion dekh kar achhaa lagaa. maiN unhiiN ke shahr kaa rahnewaalaa huN ya'ni Allahabad. is shahr ne India ke 7 prime ministers diye, Akbar Allahabadi, Bismil Allahabadi, SaGheer Usmani jinhoN ne ChaudhviN ka Chand banayi, amitabh diya, Firaq Gorakhpuri, Harvansh Rai Bachchan vaGhaira diye :)
Ibn e Safii saab kaa makaan aaj bhi hai magar bahooot Khasta Haalat meN. dekh kar afsos hotaa hai :(**