Momin ka musalmaan ka imaan hai Ramazan
Imaan hai Ramazaan
aey parcham-e-tauheed tairi shan hai Ramazan
Imaan hai Ramazan
Ramzaan Ramzaan.. Imaan Ramazaan!
Tu aaye tou barhta hai azaanon ka tarannum
har dil mein utarr jaata hai Quraan ka takallum
sajdon ka namazon ka dil o jaan hai Ramazaan
Imaan hai Ramazaan
Momin ka Musalamaan ka…
Aey parcham e tauheed..
Imaan hai Ramazan..
Muflis ka masakeen ka tu Rizq e asaan hai
tujh jaisa koii 11 maheenon mein kahan hai
goya keh tu hi Soorah e Rehmaan hai Ramazaan
Imaan hai Ramazaan
Kia noor ki barsaat nazar aati hai harr soo
phaili hai taire aanay se Quraan ki khushboo
haan alam e Islaam pe ehsaan hai Ramazaan..
Imaan hai Ramzaan..
momin ka Musalmaan ka..
Aey parcham e tauheed..
imaan hai Ramazaan… imaan hai Ramazaan!!