Allah apni hifazat main rakhay aap ko. Nikaltay waqt safar ki dua par'hna na bhooliaay ga.
Allah aap ki chhuttion ko khushion ka gehwara banaay aur saath kahriat kay hansi khushi jain aur wapis aa kar hamain apni dastan sunain takain hum bhi aap ki zubani ghoom lain.
Aray haan apni char'i mujhay deti jain main ussay logon kay bohat say raaz maloom karoon gi.
aap bohat achi hain angel aap nain bohat achchi baat kahi hai laikin kisi nain aap ka jawab naheen dia sub ko yay kahna chahyay kay aap nain koi aisi takleef ponhchanaay wali baat naheen ki aur agar kabhi ki ho aur mujhay buri lagi ho to main nain aap ko maaf kia aur Allah bhi aap ko maaf karay.
Mujhay aap nain kabhi kuch naheen kia Allah sub ko aik doosray ki ghaltiaan maaf karain.
Haan agar main nain kuch aisa kaha ho kisi ko aur angel ko to aap bhi mujhay maaf kijaay ga.