Kisi ko apne amal ka hisaab kya datay
sawal sare galt thay jawab kya datay
jo alfaaz ki khushbu ko na rakh saka mehfooz
hum us k haath mai sari kitaab kya datay..
Harf-e-ilzaam banao ya dua ho jaon
kash mai kabi tere HONTON se ada ho jaon
rok lena mara haath pakr kar muj ko
bekhayali mai agr tuj se juda ho jaon…
Hamain ashqon se palkon ko bhigona nahi aata
milay jo khushi to usay khona nahi aata
seh latay hain har gam has k us ka
aur log kehte hain hamain rona nahi aata…
Boht udas hai koi shaks tare janay se
ho sakay to lot aa kissi bahanay se
tu lakh khafa sahi magr ik baar tu daikh
koi toot gya hai tare rooth jane se…