kiyun rehta hai tu beezaar
college main hota hai khawaar
ser par say ye bohj utaar
phaink kitaboon kay umbaar
parhna likhna hai beeqaar
ilam ko baas karain oh yaar
tees baras main pachees saal
parhtay guzray noonihaal
urr gayay saray ser kay baal
wigh hee ker ab istamaal
ker lay koi karobaar
ilam ko baas karain oh yaar
izaat film main anay main
shohraat khail main janay main
doolat nachnay ganay main
zillat parhtay janay main
badal gayee saray mayaar
ilam ko baas karain oh yaar