ikhtiyaar

kaha uss nay, daikho
tamanna kay rastay buhut bay-khabar hain
jo aagay gaey thay samaa’at kay jaadu mai khoay huway hain
agarche tumhari yeh khud-aitemaadi
tumhay iss masaafat mai thaknay na day gi
magar yaad rakho
safar kay liyay sirf chalna zaroori nahi, aur daikho
haaw aaj tak bay-thikaana hay, lehrain
kinaaron say sar maar kar laut jaati hain, taaray
azal say khud apnay giraftaar hain aur aankhain puraanay manazir mai gum hain
tamanna hamaray liyay shehar afsoon hay jis ki faseelain, dareechon, daroN
mai khayaalon ki paryaan khulay gaisu’on say guzartay huway rah-ru’on ko
ishaaron say apni taraf khainch laiti hain khooN garam jismon mai
rukta hay paaon agar thehar jaaey to chaltay nahi
badan pathron say nikaltay nahi

zindagi ka fasaana buhut mukhtasir hay
kahin yeh na ho iss kahani ki tamheed hi iss ka anjaam ho
aur suno jab tamanna kay raston say guzro
to aagay gaey qaaflon ki sabhi yaadgaaron ki taa’zeem karna
jahan say bhi guzro naqoosh-e-kaf-e-paa ko mehfooz karna
keh laakhon yahan bay-nishaan phir rahay hain
har aik raah par raftegaan phir rahay hain

suno meri maano
tamanna ka haasil faqat gumraahi hay
chalo ham zamanay ka daaman pakarr kar
yeh umr-e-ravaan ka safar caat daalain
lab-o-gosh par khamushi ko saja lain
dareechon mai abaad chehray na daikhain
jahan roshni ho nigaahain bacha lain
rafaqat kay iss waahmay say guzar lain
hamaisha bhataknay say behtar hay - aao
jo kal honay wala hay woh aaj kar lain

A.I.A

[This message has been edited by hayaa (edited July 15, 2002).]

Its nice

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

nice choice


**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**

Very Nice…

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif


—=::´´¨¨º¤ Raja Pakistani ¤°¨¨``::=—

rafaqat kay iss waahmay say guzar lain

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/teary3.gif

sigh & sighz … Hayaa zalim larki … yuun mat aazmao hamen

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/frown.gif

PS: yara thanks for sharing

Nice

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif


Owner of Mehkama-e-Sharafat
ô¿ô
.~.
Rude Boyz Rulez