Zindagee kay maillay main , kuwahishoon kay raylay main
Tum say kiya kahain janna , iss qadurr jhamaillay main
waqaat ki rawani hay , bakht ki garaani hay
sakhutt bay-zameeni hay , sakht la-makani hay
Hijr kay samundarr main , takht aur takhtay ki
Aik hee kahani hay , joo tumm ko sunani hay
Baat go zarra see hay , baat umeer bhar ki hay
Umar bhur ki batain kubb doo gharri main hotti hain
Dard kay samundur main , unn ginutt jazeeray hain
Bay-shumaar motti hain.
Aankh kay dareechay main , tumm nay joo sajjaya tha
Baat uss diyaee ki hay , baat uss gillay ki hay
Joo lahoo ki khulwutt main , choor bunn kay aata hay
Nabz ki faseeloon pay , toot toot jata hay
Zindagee say lambi hay , baat rut-jaggay ki hay
Rastay main kaisay hoo , baat takhliyaee ki hay
Takhliyaee ki batoon main , guftagoo izafi hay
piyaar kurnay waloon ki , ik nigah kafi hay
hoo sakay tu sunn jaoo , ik dinn akailay main
Zindagee kay maillay main , khuwahishoon kay raillay main
Tum say kiya kahain janna , iss qadurr jhamailay main
Zindagee kay maillay main , khuwahishoon kay raillay main.
I THINK Amjad Islam Amjad ki hey yeh…
anyways enjoy…