Ik zara si ranjish say.....

***Ik zara si ranjish say
Shak ki zard tehni per phool badgumani k
Is tarah say khiltay hain
Zindagi say piyary bhi
Ajnbi say lagtay hain
Ghair ban k miltay hain
Dost dar lehjon mein
Salvatain si perti hain
Umr bher ki chahat ka kuch sila nahee milta
Dasht e be-yaqeeni mein aasra nahee milta
Wahmon k saaye say umr bher ki mehnat ko
Pal mein tour jatay hain
Bheer mein zamany ki
Saath choot jatay hain
Ik zara si ranjish say
Haath choot jatay hain
Khawb toot jatay hain!!!


Re: Ik zara si ranjish say.....

beautiful!

Re: Ik zara si ranjish say.....

[QUOTE]
Ik zara si ranjish say
Haath choot jatay hain
Khawb toot jatay hain!!!!!

[/QUOTE]

Very true :(
Thanks for sharing

Re: Ik zara si ranjish say…

Khobsurat :k: by the u r gayab shayad from a long time from INTIKHAB y iz dat so ?

Re: Ik zara si ranjish say.....

Bohat khoob..

Re: Ik zara si ranjish say.....

v nice

Re: Ik zara si ranjish say.....

Thanks all..

Re: Ik zara si ranjish say…

Thanks being lonely,jee sahee kaha aap nay,kafi din aana huwa yahan,bus kuch masroofiyat.. :slight_smile:

Re: Ik zara si ranjish say.....

good one....

Re: Ik zara si ranjish say…

:k: