Shikve Ke Naam Se Bemehar Khafa Hota Hai
Ye Bhi Mat Kah Ke Jo Kahiye To Gila Hota Hai
Pur Hoon Main Shikve Se Yun Raag Se Jaise Baaja
Ik Zara Chhediye Phir Dekhiye Kya Hota Hai
Go Samajhta Nahin Par Husn-Talaafi Dekho
Shikva-E-Jaur Se Sar-Garm-E-Jafa Hota Hai
Ishq Ki Raah Main Hai Charkh-E-Makaukab Ki Vo Chaal
Sust-Rau Jaise Koi Aablaapa Hota Hai
Kyun Na Thahare Hadaf-E-Naavak-E-Bedaad Ke Ham
Aap Utha Laate Hain Gar Teer Khata Hota Hai
Khub Tha, Pahle Se Hote Jo Ham Apne Bad-Khvaah
Ke Bhala Chaahte Han Aur Bura Hota Hai
Naala Jaata Tha Pare Arsh Se Mera Aur Ab
Lab Tak Aata Hai, Jo Aisa Hi Rasaa Hota Hai
KKF
2
Re: Ik Zara Chhediye Phir Dekhiye Kya Hota Hai
Pur Hoon Main Shikve Se Yun Raag Se Jaise Baaja
Ik Zara Chhediye Phir Dekhiye Kya Hota Hai
phir uske ba’d** 'lan-taraanii"** ke saath saath “la’n-taraanii” shur’uu ho jaatii hai
Ghalib ne hii farmaayaa thaa k:
gaaliyaan khaa ke bhii be-mazaa na huaa! 
Re: Ik Zara Chhediye Phir Dekhiye Kya Hota Hai
Charkh-E-Makaukab kia hota hai?
KKF
4
Re: Ik Zara Chhediye Phir Dekhiye Kya Hota Hai
Charkh-E-Makaukab kia hota hai?
you mean "charKh-e-maa kaukab"? yeh to mujhe nahiiN pataa, magar:
charKh = kuaaN [well], aasmaan, pan-chakkii kaa pahiyaa [water-mill wheel], kumaar kaa chaak [the pedestal of the clayman], revolution etc
maa = maa~ = paanii, meraa
kaukab = bright star, chamaktaa huaa sitaara
ab mere Khayaal se to iskaa matlab yeh huaa:
charKh-e-maa kaukab = vo jiske sitaare gardish meN hoN