Ik Tanha dil hay, Tumhaari yaad hay, maiN hooN, tum ho, par tum nahiN ho!

Ik tanha dil hay
tumhaari yaad hay
maiN hooN
tum ho!
par tum nahiN ho!

aankh bund kartaa hooN
maazi maiN jhooltaa hooN
kiyaa dekhtaa hooN
kay tum ho!
aankh kholtaa hooN
tau tum nahiN ho!

tumhaari haNsee kii sargoshiyaaN
Goonjtee haiN kaanouN maiN abhi tuk
Tum dikhaie daitee bhee ho
muskuraati rehti bhee ho
laikin tumhaari nigah maiN ab
maiN nahiN hooN
muskurahaTTouN maiN tumhaari
meri udaasi dubb see gayee hay
aur iss tanhaie maiN mairee
ab tum nahiN ho!

mairee zindagi tau
buss ab yehi rahay gee:)
mairee duaa hay
tumhaari zindagi maiN
ab jo bhee aaye
woh mairee yaadaiN
tum say cheen jaaye
tum khush raho buss
tau kiya huvaa jo
mairee zindagi maiN
ab tum nahiN ho!:flower1:

—Anwaar

– continued..

buhet khoob :flower1: :k::k::k:

:k: pahlay batana tha pahlay he a jati :stuck_out_tongue:

PS: nice nazam

bohut khoob thanks for sharing.

Re: Ik Tanha dil hay, Tumhaari yaad hay, maiN hooN, tum ho, par tum nahiN ho!

tumhaari zindagi maiN
ab maiN bhee tau nahiN hooN :slight_smile:
yehi chahaa thaa tum nay
yehi arzu thee tumhaari
khush ho yaa ho ghamzada
maiN nahiN jaantaa
maiN tau buss ye hooN jaantaa
kay meri zindagi maiN ab tum nahiN ho!

— Anwaar

very nice....

wao that love story* has happy ending

*
mairee zindagi tau
buss ab yehi rahay gee
mairee duaa hay
tumhaari zindagi maiN
ab jo bhee aaye
woh mairee yaadaiN
tum say cheen jaaye
tum khush raho buss
tau kiya huvaa jo
mairee zindagi maiN
ab tum nahiN ho!

Re: Re: Ik Tanha dil hay, Tumhaari yaad hay, maiN hooN, tum ho, par tum nahiN ho!

14786.anwar_tanha_dil
*Originally posted by Anwaar Qureshi: *

Ik tanha dil hay
tumhaari yaad hay
maiN hooN
tum ho!
par tum nahiN ho!

aankh bund kartaa hooN
maazi maiN jhooltaa hooN
kiyaa dekhtaa hooN
kay tum ho!
aankh kholtaa hooN
tau tum nahiN ho!

tumhaari haNsee kii sargoshiyaaN
Goonjtee haiN kaanouN maiN abhi tuk
Tum dikhaie daitee bhee ho
muskuraati rehti bhee ho
laikin tumhaari nigah maiN ab
maiN nahiN hooN
muskurahaTTouN maiN tumhaari
meri udaasi dubb see gayee hay
aur iss tanhaie maiN mairee
ab tum nahiN ho!

mairee zindagi tau
buss ab yehi rahay gee:)
mairee duaa hay
tumhaari zindagi maiN
ab jo bhee aaye
woh mairee yaadaiN
tum say cheen jaaye
tum khush raho buss
tau kiya huvaa jo
mairee zindagi maiN
ab tum nahiN ho!:flower1:

tumhaari zindagi maiN
ab maiN bhee tau nahiN hooN :slight_smile:
yehi chahaa thaa tum nay
yehi arzu thee tumhaari
khush ho yaa ho ghamzada
maiN nahiN jaantaa
maiN tau buss ye hooN jaantaa
kay meri zindagi maiN ab tum nahiN ho!

MaiN dekhtaa rahooN gaa
tumhaari raahaiN
aisay hee jaisay
chaand dekhta hay
TaarouN kee guzar gaahaiN
Sitaray kabhi chaand ko
milay bhee nahiN haiN
Laikin kabhi dekho tau
lagta hay kuch youN kay
Qurbat-e-Anjum Mehtaab say
humaari dooori say kam nahiN hay!
mujh say dil tumhaaraa
ab utnaa hee dooor hay
kay jitna dooor
Anjum-e-seh’r mehtaab say hay
daagh mairaa bhee
roshan ussi tarah hay
kay jaisay roshan
chaand ka kalang hay!
yehi wajah hay
kay aaj youN hay:

kay maiN bhee yaheeN hooN
tum bhee yaheeN ho!
laikin tum khush ho
taarouN kee anjuman maiN
chamaktay taaray
tumhaari hee tarah haiN
kay tum bhee damakti ho
jaisay koie taaraa chamaktaa hay
kay tum ho bhee
aur tum nahiN bhee ho!
tum ho taarouN kay liye roshan
chaand kay daagh say baizaar
chaandni say uktaa gayee ho!

kay meri zindagi maiN ab tum nahiN ho!

— Anwaar

[QUOTE]
*Originally posted by heart to let: *
very nice....

wao that love story* has happy ending

[/QUOTE]
really:)?

beautiful :flower1: of all the things i have read of yours this one’s the best :k:

:mash: janaab :k:

Re: Re: Re: Ik Tanha dil hay, Tumhaari yaad hay, maiN hooN, tum ho, par tum nahiN ho!

:frowning: :frowning: :frowning:
Wowo:k::k::k:
keep it up and thanx for sharing :flower1:

Re: Re: Re: Ik Tanha dil hay, Tumhaari yaad hay, maiN hooN, tum ho, par tum nahiN ho!

Aameen! :flower1: !

:crying: zabardast:k:

:~)

:k:

Thanks :slight_smile:

aur koyal ka thanks kidher hia :(

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
aur koyal ka thanks kidher hia :(
[/QUOTE]
aap ta'reef kar daiN, humm thanks kar daiN gey :-)

agar mu chalanay se fursat milay tu ankhon ka istmaal be kijaiy uper dakhiey tareaf nah ki huwie tu kia kia huwa hai :smash:

very nice :k: