bikhri bikhri shamon main
sehmi sehmi raaton main
tanha tanga lamhon main
kuch guzra zamana yaad aaya
aj gosha-e-tanhai main
ik shaks purana yaad aaya
kaGaz ki tehreeron main
dhundli si tasveeron main
ik chehra purana yaad aaya
wo parhna usay kitaabon main
or dhondna usay khawabon main
usay panay ki is koshish main
meri nend ka jana yaad aaya
aj gosha-e-tanhai main
ik shaks purana yaad aaya!!!
Re: Ik shaks purana yaad aaya!
nice one .. :k:
Re: Ik shaks purana yaad aaya!
wow…bohat khoob ![]()
Re: Ik shaks purana yaad aaya!
nysh :k: