Kuchh sookhe yaado’n k pattay
ye sard hawaa phir laaee hai
phir qadam mere bojhal bojhal
sehmi sehmi parchhaaee hai
Phir afsurda afsurda say
kyu’n aaj nazar ye aatay hai’n
In chanchal shokh parindo’n ko
kis nay ye baat bataaee hai
harr shajar hai kyu’n roya roya
mosam hai kyu’n khoya khoya
Kyu’n chaman hai ye ujraa ujraa
kyu’n kali kali murjhaaee hai
Phir deep jalaa k yaado’n k
wo lot gaya andhairo’n mai’n
ik shakhs hai kuchh aawaara sa
ye khabar baree phailaaee hai
Ik shakhs kahi’n roya hoga
Apni hastee khoyaa ho gaa
Aankhai’n us ki sooji sooji
Ik umr nahi’n soya ho gaa
Phir raat jo dhaltee jaay gee
saagar, naddee beh jaay gi
woh paagal sub kuchh bhool k phir
Khud ko hee behlaata ho gaa
Aankho’n ko sehlaata ho gaa
kehta ho gaa phir se Sajid
kyu’n yaad kisi ki aaee hai?
Phir muskaa ker kehta ho gaa
“Ik shakhs baraa harjaaee hai”