**
bana gulaab to kaantaiN chubhaa gayaa ik shakhs
huaa chiraaG to ghar hi jalaa gayaa ik shakhs
tamaam rang mere aur saare Khvaab mere
fasaanaa kah k fasaanaa banaa gayaa ik shakhs
maiN kis havaa meiN uRooN kis fizaa meiN leharaaooN
dukhoN k jaal har-su bichhaa gayaa ik shakhs
palat sakooN maiN na aage baRh sakooN jis par
mujhe ye kaun se raaste lagaa gayaa ik shakhs
muhabbataiN bhe ajeeb us ki nafarataiN bhe kamaal
meri tarah kaa he mujh meiN samaa gayaa ik shakhs
vo mahtaab thaa marham-ba-dast aayaa thaa
magar kuchh aur sivaa dil dukhaa gayaa ik shakhs
khulaa ye raaz ke Aaeenaa-Khana hai duniya
aur is meiN mujh ko tamasha banaa gayaa ik shakhs
**