**Bana gulab tu kantey chuba gaya ik shakhs
hua charagh tu ghar hi jala gaya ik shakhs
tamam rang mere aur sarey khawab mere
fasana thaa k fasana bana gaya ik shakhs
meiN kiss hawa mein uRoon kis fiza mein lahraon
dukhoon kay jal har su bicha gaya iik shakhs
palat sakoon mein na agaey hi bhar sakoon jis par
mujhey yeah koon say rastay laga gaya ik shakhs
mohabbatain bhi ajeeb us ki nafratien bhi kamal
meri tarhan ka hi mujh mein sama gaya ik shakhs
woh mahtaab tha marham badast aya tha
magar kuch aur hua dil dukha gaya ik shakhs**