**
Ik shakhs k kho janay ka darr kyun nahin jata**
ye bojh meray DiL se utar kyun nahin jata
manzil pe pohnch kar bhi usay khona paray ga
ye tay hai to phir shauq-e-safar kyun nahin jata
main jab bhi tara-shon, tera paikar hi tara-shon
ye zauq-e-nazar, ye shauq-e-hunar kyun nahin jata
ye waqt tujhay mujh se juda kar to raha hai
ye waqt issi waqt thehar kyun nahin jata
gar tujh se bicharnay ka hay ranj mujhay itna
to main shiddat-e-jazbaat se mar kyun nahin jata