ik shair

Re: ik shair

udasiyan jab tumhe satayen to soch lena
koi to hay......
jo tumhari khatir anderon ko chun raha hay
koi to hay.....
jo tumhari sanson ko apni sanson me sun raha hay
koi to hay.....
jo apni dharkan ki tasbiyon par tumhare naam ko gin raha hay

Re: ik shair

yakk nukta tere safha-e-mukh per nahiin bejaa
iss mukh to tere safha-e-Qur'an soN kahooN gaa

Wali Deccani

Re: ik shair

wah kya baat ki hai!

Re: ik shair

guloo-e-ishq ko daar-o-rasan pohanch na sakay
tou laut aaye teray jaaN nisaar, kyaa kartay!

Faiz Ahmed Faiz

Re: ik shair

apni wo mulakat kuch adhuri c lagi
pas ho kar bi duri c lagi
ankho mai c lagi
zindagi mai pehli bar kisi ki mohabat itni zruri c lagi

Re: ik shair

najane kai mujh sa zamana chahta hay
mara dil tor kar hasana chahta hay
na janay kai baat hay mara charay mai
har shaks mujha azmana chahta hay

Re: ik shair

mohobat, adawat, wafa, bai rukhee
kraiy kai ghar theey badltay rahai

Re: ik shair

mehsoos kero gay to zindge musalsal azaab hay

behter hay k is ko huns ker guzaar do !

Re: ik shair

Kassh yeh jitna kahna aasaan hai...utna hi kerna bhi aasaan hota!
Waise bohat acha shayr hai....!

Re: ik shair

kabhi kabhi tu daaman mein ek sang-ay-sada rah jata hai
daynay wala kuch nahin dayta hath barha rah jata hai
jab bhi hisaab laganay betho tu jama-o-tafreeq k baad
sab kuch munfee ho jata hai ek Khuda rah jata hai

Re: ik shair

Tu katib-ay-taqdeer say shikwaa tu kartaa
shayad woh likh dayta tera naam meray sath

Re: ik shair

Pal bhar ko mil k ajr-r-shanasayi degaya
ek shakhs umer bhar ki tanhayi degaya
bichra to dosti k asasay bhi batt gayay
shohrat wo legaya mujhay ruswayi degaya

Re: ik shair

bohat khoob!

Re: ik shair

*jab shaam aagan main utar aae mujhe yaad karlena
jab chandni har so bikhar jae mujhe yaad karlena *

Re: ik shair

jab raat gay andheeron mein
tumharee bay-khaab ankhoon ko
adhooray khaab jagain gay
tumhain hum yaad aain gay

jab kabhi akailay betho gay
gaee batoon ko soocho gay
guzray din jab tum ko satain gay
tumhain hum yaad aain gay

Re: ik shair

Tum takal-luf ko bhi ikh-Las samajhtay ho faraz
Dost hota nahin her haath milanay wala

Re: ik shair

Guf-tago ki-jiye kay ye fitrat-e-insa'n hai shakeeb
Jalay lag jatay hain jab bannd maka'n hota hai

Re: ik shair

main tu ban jaoon ga majnoo bhi bay jijhak laikin
tumharay shehar main sehra ka ahtamaam nahin

Re: ik shair

Khuda hum koh aisee khudai na dey
kay apnay siwa kuch deekhai na dey

Re: ik shair

*Jaysay afsaan-e-hasti ka ho unwaan yehi
Kitnay piaray hain tayray naam kay alfaaz mujhay
*