Khaamosh hai Chaandni Qamar kee
ShaakhaiN haiN kha’mosh hur shajar kee
Waadi kay niwaa farosh khaamosh
Kohsaar kay subbz posh khaamosh
Fitrat Bay Hosh ho gaie hai
Aaghosh maiN shub kay so gaie hai
Kuch aisaa sukoot kaa fusooN hai
Neegar ***** kaa Khuraaam bhee sukooN hai
TaarouN kaa kha’mosh kaarwaaN hai
Yeh Qaafla bay daraa rawaaN hai
Khaamosh haiN kho-O-dusht-O-dariyaa
Qudrat hai Muraaqbay maiN goyaa
Aye dil! tu bhee kha’mosh ho jaa
Aghosh maiN ghum ko lay kay so jaa![]()
— (daryaa-e-Neegar ***** (Hydel Burg) kay kinaaray par) - Allama Iqbal - Baang-e-Dara