Ik shaam hay intizaar jaisi
ik yaad hay yaad-e-yaar jaisi
ik zukhm ghulaab sa khila hay
ik dukh ki chubhun hay khaar jaisi
ik naqsh hay weham ki tarah
ik shakal hay aetabar jaisi
ik hijr ka rog umr bhar ka
ik umr kay hay udhaar jaisi
ik khuvab kay kuch samhaj na aaey
ik dhund hay kohsaar jaisi
ik shola-e-husn jal bhuja hay
ik ankh hay sharmshaar jaisi
ik ehad faraz ji kay dekha
ik rut bhi na aai piaar jaisi