Ik safar musalsal hay
Meri teri nigah mein
Jo laakh intezaar hain
Jo merey terey tun-badan mein
Laakh dil fighaar hain
Jo meri teri ugliyoun ki be’hissi se
Sab qalum n’zaar hain
Jo merey terey shehar ki har ik gali mein
Merey terey naqsh e paa k be’nishaan mizaar hain
Jo meri teri subah k
Gulaab chaak chaak hain
Yeh zakham sarey bey’dawa
Yeh chaak sarey be’ rafuu
Kissi pe gurd chaand ki
Kissi pe ooas ka lahu
Yeh hay bhi ya nahin bata
Yeh hay k mehz jaal hay
Merey terey ankaboot weham ka bana huwa
Yeh hay bhi tu iss ka kya karein ?
Nahin bhi tu iss ka kya karein ?
Bata ? Bata ? Bata ? Bata ? …
hummay tum say pyar kitna :)yae hum nahe jantay:)