Ik patthar se dil laga bethay
Jaane kyon khud ko aazmaa bethay
Kitni hi nafratoon ke zakham mile
Aur hum hain ke muskuraa bethay
In chattaanoo ke beech mein kyon hum
Kaanch ka ik nagar bana bethay
Qurbatoon mein tu kuch na haath aaya
Hijr ke faasilay barhaa bethay
Karam in ka na hosaka hum per
Daag dil ke sabhi dikha bethay
‘Arif’ ghar ki aag kya bhujti
Apni hi ungleyaan jala bethay
Mere jaise ban jaoge jab ishq tumhein ho jaayega…!
2629
May 13, 2002, 9:46am
2
pathar kaun hai?
haan g ghalat kiya ap nay dil laga kar kia faida tha na!
Kisi ne sahi kaha hai Lamhay... !
Us din mujh ko bhool na jaana jis din mujh se ji bhar jaaye !
Lagta hai logoon ka ji bhar gaya hai aur ab woh kinara kashi ka raasta dhoond rahay hain !
Raasta dhondne ki zarorat nahee Lamhay, Raasta tu aap ka muntazir hai !
Mere jaise ban jaoge jab ishq tumhein ho jaayega...!
mashallah say bataien dekhien logoon ki
by the way ap nay tu kinara kashi ikhtiaar ki thee gupshup say phir akaiasay gaye?
aur dil kis ka bhara hai? kaun yahan aya hai bore hokar ?
Bore hokar naehe aya wapis...
Wapis aya hoon sirf tumhari yaad mein ghazal post karne per kya khoob inaam mila mujhe mere pyar ka... !
Bahut khoob... !
Khuda aisa pyar mein inaam kisi ko na day.. aameen summa aameen !
Mere jaise ban jaoge jab ishq tumhein ho jaayega...!
Mahee
May 13, 2002, 10:51pm
8
wah! bohat khoob jee. very nice
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
mohabat aesa derya hai
k baarish rooth bhi ja a
to pani kum nahi hota!
buhat achay
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
(¯`~!‹‹®››…Hâm…IbŦ £dâ_ë_I§Ħq…mëiñ…Añjaam…HöĞeye…‹®›!~´¯)™ ©²°°²
Munir
August 27, 2003, 4:02pm
11
Re: Ik patthar se dil laga bethay !!!
[QUOTE]
*Originally posted by arifnawaz: *
Ik patthar se dil laga bethay
Jaane kyon khud ko aazmaa bethay
Kitni hi nafratoon ke zakham mile
Aur hum hain ke muskuraa bethay
In chattaanoo ke beech mein kyon hum
Kaanch ka ik nagar bana bethay
Qurbatoon mein tu kuch na haath aaya
Hijr ke faasilay barhaa bethay
Karam in ka na hosaka hum per
Daag dil ke sabhi dikha bethay
'Arif' ghar ki aag kya bhujti
Apni hi ungleyaan jala bethay
Mere jaise ban jaoge jab ishq tumhein ho jaayega...!
[/QUOTE]
Arif bhai bahot zabardust :(
ap or lamhay zaburdust ghazuls post kertey rahey :(
Swera
August 27, 2003, 10:10pm
14
Nice...
Ik patthar se dil laga bethay
Jaane kyon khud ko aazmaa bethay
Wah!