•^•^•^• Ik Pagal Sa Larka Tha...!!!

Ik Paagal Sa Larka Tha
Apnay Aap Main Gum Sum Sa
Zakham Milay Tu Bhi Muskata Rehta Tha
Logon Pe Aitbaar Ker K Us Ne Bohat Dhokay Khaay
Jitnay Bhi Dost Milay Sabb Ne Usay Zakham Lagaay
So Sabb Se Door Khawab Nager Main
Us Ne Apni Dunia Basa Li

Apni Jannat,Apna Dozakh,Apnay Log
Apnay Dukh Apnay Aap Se Kehta Tha
Sabb K Dukh Apnay Dukh Samjhta Tha
Sabb Main Apni Khushian Baant’ta Rehta Tha
Us Ki Dunia Main Hawass Ka Ziker Na Tha
Us Ki Dunia Main Dolat Ki Perwa Na Thi
Us Ki Dunia K Khushboo Jesay Log Thay
Us Ki Dunia Main Naferton Ki Hawa Na Thi
Phir Jaanay Us Pagglay Ko Kis Ki Nazer Lagi
Us Ko Bhi Ik Chaand Nager Ki Raani Se
Muhabbat Ho Gayee

Us Ki Apni Dunia,Takht-O-Taaj
Chaahat Aag Main Jall Gay
Us Ki Dunia Ujer Gayee
Us Ne Chanda Raani Ko Paana Chaaha Tu
Us Ki Hasti Bikher Gayee
Zaat Paat K Pujaarion Ne
Jhooti Dunia K Shaahon Ne
Us K Dil Ko
Rooh-O-Jigar Ko
Zakham Zakham Kia
Us Ki Muskaan Chheen Li
Suna Hay Us Ne Muhabbat Per Sabb
Tann Mann Dhann Waar Dia Tha
Raah-E-Wafa Main
Naam-E-Wafa Per
Apna Sabb Kuchh Haar Dia Tha
Per Dunia Ne Us Ko Gham K Siwa Kuch Na Dia
Phir Us Ne Marr Jana Chaaha
Per Mout Na Maani

So Suna Hay Abhi Bhi Kisi Laash Ki Maan’nad Zinda Hay
Abhi Bhi Khokhlay Qehqahay Lagata Hay
Aur Raat Ko Sab Se Chhup Ker Chaand K Sath Mil Ker
Aansoo Bahaata Hay
Suna Hay Aajkal Us Ko Muhabbat Se Nafrat Ho Gayee Hay
Apni Dunia Alag Se Banaanay Ki Soch Raha Hay
Phir Se Apni Dunia Main Jaanay Ki Soch Raha Hay
So Sab Chaahnay Walo Dua Kero
Ye Pagla Sa Larka Jis Ko Jhooti Dunia Ne
Masoom Natt Khtt Larkay Se
Bikhera Toota Aadmi Bana Dia
Jis K Khawab Nager Ko Jala Dia
Phir Se Apni Dunia Basanay Main Kamyab Ho Jay
Apni Masti Main Kho Jay Phir
Chaahat Rog Ko Bhula De
Is Sog Ko Bhula De

Re: •^•^•^• Ik Pagal Sa Larka Tha…!!!

:teary3:…:k:

Re: •^•^•^• Ik Pagal Sa Larka Tha…!!!

:frowning: :hat: .

Re: •^•^•^• Ik Pagal Sa Larka Tha…!!!

kon tha ye pagal? kuch jana pehchana lag raha hai :hmmm:

Re: •^•^•^• Ik Pagal Sa Larka Tha…!!!

Kon kon.. hamain bhi btain :@:

Re: •^•^•^• Ik Pagal Sa Larka Tha...!!!

Ye bhe billi he ho ge.meaowwww ;)

Re: •^•^•^• Ik Pagal Sa Larka Tha…!!!

Larka billi kaisi ho sakti hai.. wo to billa ho ga na cute sa :blush:

Re: •^•^•^• Ik Pagal Sa Larka Tha…!!!

baby baby sa lag raha hai

Re: •^•^•^• Ik Pagal Sa Larka Tha...!!!

bbay to baRon ko bech ke khae.. masoom nahin meesna hai wo

Re: •^•^•^• Ik Pagal Sa Larka Tha...!!!

baby hai kidhar

Re: •^•^•^• Ik Pagal Sa Larka Tha...!!!

hoga kahin awargiyon main masroof

Re: •^•^•^• Ik Pagal Sa Larka Tha...!!!

Us k dad hospitalized hain... thats y he is busy

Re: •^•^•^• Ik Pagal Sa Larka Tha...!!!

oh no. Allah rehm farmae. he didn't tell me.

Re: •^•^•^• Ik Pagal Sa Larka Tha...!!!

2 din pehly kaafi late night fb per tha.. i asked wha you doin dis tym.. he sed sitting beside his dad...i sed is he okay.. then he told me..

Re: •^•^•^• Ik Pagal Sa Larka Tha…!!!

is mein se kuch baatein:eek:

Re: •^•^•^• Ik Pagal Sa Larka Tha…!!!

Kya…?

Re: •^•^•^• Ik Pagal Sa Larka Tha…!!!

Very Nice Punjabi Kuri..:k:

Re: •^•^•^• Ik Pagal Sa Larka Tha…!!!

Thanks Aryaan :slight_smile:

Re: •^•^•^• Ik Pagal Sa Larka Tha...!!!

:)

Re: •^•^•^• Ik Pagal Sa Larka Tha...!!!

:@: