Zindagi ki rahoN may
Ik lamha lagta hai
Dil kisi pe anay may
Ik lamha lagta hai
Mujh ko bhi mila tha woh
Jis ko daykhtay hi dil
Bey-tahasha dhaRka tha
Mujh say keh raha tha woh
Tum say pyaar hai mujh ko
Muskura kay may nay bhi
Phool lay liya us say
Hath, Hath may lay kar
Pyar kay ata-karda
AsmaaN pe ham dono
Chahtay they sath uRna
AsmaaN pe jeevan bhar
Koii uR saka hai kya?
Hath, hath say choota
Ik sitara jo toota
Tab khabar hui mujh ko
Ik lamha lagta hai
Dil ke toot janay may
Aur Umr lagti hai
KirchiyaaN uthanay may…
nice:k:![]()
beautiful:k:
wah ji wah kia sahee kaha hay aap na.sach boohat boolti hain aap.Allah aap ko khush rukhay.........:)
Waha kiya baat hai...
Tarkay talqat ko ak lamha chahiya
Lakin tamam umer mujahay sooch na para
Buhat Khoob:k:…
…