ik lafz-e-mohabbat kaa adanaa saa fasaanaa hai
simaTe to dil-e-aashiq phaile to zamaanaa hai
ye kis kaa tasavvur hai ye kis kaa fasaanaa hai
jo ashk hai aankho.n me.n tasbiih kaa daanaa hai
ham ishq ke maaro.n kaa itanaa hii fasanaa hai
rone ko nahiin ko_ii ha.Nsane ko zamaanaa hai
vo aur vafaa-dushman maanenge na maanaa hai
sab dil kii sharaarat hai aankhon kaa bahaanaa hai
kyaa husn ne samajhaa hai kyaa ishq ne jaanaa hai
ham Khaak-nashiinon kii Thokar mein zamaanaa hai
vo husn-o-jamaal un kaa ye ishq-o-shabaab apanaa
jiine kii tamannaa hai maranaa kaa zamaanaa hai
yaa vo the Khafaa ham se yaa ham the Khafaa un se
kal un kaa zamaanaa thaa aaj apanaa zamaanaa hai
ashkon ke tabassum mein aahon ke tarannum me.n
maasuum mohabbat kaa maasuum fasaanaa hai
aankhon mein namii sii hai chup-chup se vo baithe hain
nazuk sii nigaahon mein naazuk saa fasaanaa hai
hai ishq-e-junuun-peshaa haa.N ishq-e-junuun-peshaa
aaj ek sitamagar ko hans hans ke rulaanaa hai
ye ishq nahiin aasaan itanaa to samajh liije
ek aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai
aansuu to bahot se hain aaNkhon mein ‘Jigar’ lekin
bindh jaaye so motii hai rah jaaye so daanaa hai