**Ik Gazal us pe likhun dil kaa takaaza hai bahut
in dinon Khud se bichhar jaane kaa dharkaa hai bahut
raat ho din ho Gafalat ho ki bedaari ho
us ko dekhaa to nahin hai, use sochaa hai bahut
tashnagi ke bhi muqaamaat hain kya kya yaani
kabhi dariya nahin kaafi, kabhi qatra hai bahut
mere haathon ki lakiron ke izaafe hain gavaah
main ne pathar ki tarah Khud ko tarasha hai bahut
koi aya hai zarur aur yahan Thehra bhi hai
ghar ki dehaliz pe he-nur ujala hai bahut**