Ik diya dil main jalanaa bhi, bujhaa bhi daina
Yaad kerna bhi ussey, rooz bhula bhi daina
Kia kahooN ye meri chahat hai k nafrat us ki
Naam likhna bhi mera, likh k mitaa bhi daina
Phir na milney ko bicharta hoon tujh sey laikin
MuRR k daikhooN tou palatney ki dua bhi daina
Khat bhi likhna ussey, mayoos bhi rehna us sey
Jurm kerna bhi magar khud ko sazaa bhi daina
Us sey mansoob bhi ker laina puraaney kissey
Us k baalooN main naya phool saja bhi daina
Soorat-e-naqsh-e-kadam dasht main rehna ~Mohsin~
Apney honey sey na-honey ka pata bhi daina… *
**–Mohsin Naqvi **