Aey,ahl-e-sukhan,aey dil waalo
ye tooty dil ki kahaani hy
ashkon k deep jalaay hen
aur khaak-e-bayaabaan chhani hay
kuchh ham nadaan anaari thhy
kuchh osky waar bhi kaari thhy
aur dil ki kashti duol gai
muosam ki kuchh nadaani say
ham unkay daam men qaed huy
alfaaz ki naaka bandi say
ham pal pal tarpay jinky liye
wo maan sy phir maghroor huyy
men kuchh kehti,wo kuchh kehtaa
ham duonoo olajhty rehty thhy
is behs men haar hamaari thi
wo haar k baazi jeet gay
ik dil thha hamaraa ziddi saa
ju suodaai aur paagal thha
ik zem-e-khudi haasil thi inhen
so ospar wo masroor rahyy
wo zakhm lagaay jaaty thhy
ham karb chhpaay jaaty thhy
wo dard hamaraa samajh na saky
be,dard zamanaa kiya jaany..?
ik dil toota,kuchh khuaab luty,
tabeer mili barbaadi ki
taareekh k baab men raqam hoi
phir tooty dil ki kahaani yey !
(s.naz)