Ik choTTi sii aazaad naz'm - Fil Badeeh -

ik dil mairaa thaa
ik dil teraa thaa
dau dil thay woh
faqat koie!
ik dil tau nahiN thaa woh
laikin! phir bhee
unn dau dilouN kay darmiyaaN
naa jaanay rishtaa yeh kaisaa thaa
jo ik sehtaa thaa
woh doosraa sanjotaa thaa
phir kiyaa huvaa?
ik dil rooTh gayaa
doosraa tooT gayaa
jo rooThaa thaa
woh dil tau laikin
subb say naazuk
sub say pakeeza
subb say piyaaraa thaa
uss dil-e-haseeN nay
apnay Ooper!
yeh saNg-e-zulmat
kaisay dhalaa thaa?
aur jo tooT gayaa
woh subb say mazboot
aur pehlay ko kitnaa piyaaraa thaa
shayad woh tooT gaya uss par
kay jiss pathar say
pehlay nay uss ko maaraa thaa
tooT gayaa hay
tooT rahaa hay
woh ik paThar hee kaafi thaa
laikin!
iss musalsal saNg baari say
kuch aisaa lagtaa hay
pehlaa dil rooTh gayaa tau
shayad soch rahaa thaa
doosray nay tau mar jaana thaa
jo tooT gayaa hay
woh har ik pathar par
samaiTT-taa hay
apnay bikhray tukRRouN ko
iss aas maiN
kay bikhray tukRRay simaT kar
shaayad!
phir yakja ho kar
roothay dil ko yeh bataa daiN
kay tooTa dil ab juRR gayaa hay
shaayad rooTha dil, tooTay dil ko
phir say “ik dil” maan lay
jaan lay
shaayad!
yeh jaan lay
jub dil TooT-tay haiN tau
sadaa-e-baazgusht
wahaaN tukk jaati hai
kay jahaaN tukk
abhi zindagi bhee naa pohunch paati hai :slight_smile:
yeh woh dukh hai jo
waqt kay saath baRRhta hai
chubhtaa hai
kum nahiN hotaa
jitnaa jald yeh dukh
ik dil ko miltaa hai
utnaa jald
woh dil zindagi maiN hee
maut kaa aarzoo mand bantaa hai
zindagi kee baaqi sa’ataiN
ik azaab kee maaniNd
rooThay dil kee
tanhaa rah guzar maiN
sisaktee haiN
faryaad karti haiN
dil-e-zindaa jub tooT jaaye
bikhar jaaye
mar jaaye
tau zindagi kee ibaarat!
mudham ho jaati hai
kay uss maiN roshni hai
dil kay jeenay say!
rooThaa dil ho
yaa tooTaa dil ho
in dilouN kay rooThnay
aur TooTnay maiN
jin bay dilouN kaa haath hota hai
kaash roTThay dil ko samajh maiN aaye
kay tooTaa dil jo tooT gaya hay
woh tooTaa thaa pehlay
unn bay dilouN kee bay dili say
phir bikhar gayaa thaa
bikhar rahaa hay
uss pakeezaa dil kee
rooThi huvee
chubhti huvee haNsee say

—Anwaar :hehe: [wake up all of you:smash:, khatam ho gaiee naz’m:p]

a very nice piece of writing. :-)

Bahut khoob …:k:

Re: Ik choTTi sii aazaad naz’m - Fil Badeeh -

bahut khoob AQ thanks for sharing

—Anwaar :hehe: >>>>> aieen apnay oper hansi baat kuch samjh nahin aye ji …:confused:

beautiful:k:

Thanks Ghazaalooo TanhayaaN and amarbail :slight_smile:

Lamhay: hansee aatee hai naa kay aisay wahiyaat shair khud ba khud niklay aatay haiN zubaan say:smack2: aur phir maiN yahaaN post bhee kar daitaa hooN :blush:

:smiley:

This is wonderful keep it up

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
This is wonderful keep it up
[/QUOTE]
sure:D

[QUOTE]
in dilouN kay rooThnay
aur TooTnay maiN
jin bay dilouN kaa haath hota hai
kaash roTThay dil ko samajh maiN aaye
kay tooTaa dil jo tooT gaya hay
woh tooTaa thaa pehlay
unn bay dilouN kee bay dili say
phir bikhar gayaa thaa
bikhar rahaa hay
uss pakeezaa dil kee
rooThi huvee
chubhti huvee haNsee say

[/QUOTE]

bhut acha likhtay hain app mashAllah

Masha Allah Awaar je, BOhat khOOb.
But
"Ik choTTi sii aazaad naz'm"
yeh choti hai tu taweel naz'm kia ho gee.

yaar i thought i will write choTii sii tau title maiN choTi hee likh diyaa par jub type karnaa shuru kiya tau lambii hotii gayee:smack2:

:bummer: