***Ik baar aisa hua tha
Keh na sake dil ki baat
Josh-e-junoon na tha
Aur agar keh diye hote
Tho kya baat hothi!
Hausle ka sawaal na tha
Himmat ki lalkaar na thi
Bas ik kashish ki pukar thi
Jo dil hi mein reh gayi
Tho kya baat ho gayi!
Ek aashiq, parwaana na banaa
Na ghuta, naahi dam toda
Dil tootne ki aawaz bhi na suni
Bas ik anjaana gam hi to rah gayaa
Aur ham apne gam se khush hain.***