Ik Baar Agar Tum Keh Jataay !

Saawan ki ghataa ghangor sahi
Hoti hai hava purzor sahi
Saahil chokhat per reh jaatay
Khaamosh leher bann beh jaatay
Ik baar agar tum keh jaatay

Jeevan ki kathaa mushkil mushkil
Saadaa lafzo’n mai’n keh jaatay
Tum keh daitay ik baar agar
Bann ker afsaanaa reh jaatay
Ik baar agar tum keh jaatay

Tum saath jo chaltay chaar qadam
Taqdeer tumhaari bann jaatay
Hum jeevan ki is dorr mai’n bhi
Dunyaa se peechhay reh jaatay
Ik baar agar tum keh jaatay

Garr aankh tumhaari namm hoti
Maskan apna aisaa kartay
Hum aankh ka kaajal ho jaatay
Bheegi palko’n se beh jaatay
Ik baar agar tum keh jaatay

Khaamosh kharay taktay tum ko
khaamosh zabaa’n se tum kehtay
Wo baat jo tum aksar Sajid
Kehtay Kehtay thay reh jaatay
Ik baar agar tum keh jaatay!

Ik baar agar tum keh jaatay!

Re: Ik Baar Agar Tum Keh Jataay !

wah tum_bin ji! kya baat hai, something with a difference
kamal kar diya :lajawab:

Re: Ik Baar Agar Tum Keh Jataay !

bohoot khoob :k: thanks for sharing it tum bin.

Re: Ik Baar Agar Tum Keh Jataay !

Thanks :bb:

Re: Ik Baar Agar Tum Keh Jataay !

Thanks alot :bb:

Re: Ik Baar Agar Tum Keh Jataay !

u r welcome :slight_smile:

Re: Ik Baar Agar Tum Keh Jataay !

Lambi nazam hai meri dosht mei ne nahi parhni mei naraz hoon :shireen:

Re: Ik Baar Agar Tum Keh Jataay !

:frowning: kyun naraz hain aap ?

Re: Ik Baar Agar Tum Keh Jataay !

bas anwein naraz hon koi tha he jis se naraz hota so aap se ho gaya ! :teary2:

Re: Ik Baar Agar Tum Keh Jataay !

:hugz:
aap hotay kahan hain …nazar he nahi aatay ???

Re: Ik Baar Agar Tum Keh Jataay !

bohat Khobsorat nazam...............
Tum saath jo chaltay chaar qadam
Taqdeer tumhaari bann jaatay
Hum jeevan ki is dorr mai'n bhi
Dunyaa se peechhay reh jaatay
Ik baar agar tum keh jaatay

Re: Ik Baar Agar Tum Keh Jataay !

ab hum hain to aap nahi hian !

Re: Ik Baar Agar Tum Keh Jataay !

kon?????????
tum_bin????????
uss ka paper hai na:)

Re: Ik Baar Agar Tum Keh Jataay !

I think I read this in "Family" weekly magazine.

Re: Ik Baar Agar Tum Keh Jataay !

ho sakta hai .....
kyun k ye kisi naamwar shair ki takhleek hai janab

Re: Ik Baar Agar Tum Keh Jataay !

aap magazines parhtay hain ya yaad kertay hain :pcg:

Re: Ik Baar Agar Tum Keh Jataay !

very nice thx for sharing

Re: Ik Baar Agar Tum Keh Jataay !

excellent...tum_bin

Re: Ik Baar Agar Tum Keh Jataay !

Thanks :)

Re: Ik Baar Agar Tum Keh Jataay !

nicee :)