koi muj ko mera bahrpoor sarapa la day
meray bazo, meri ankhien, mera chehra la day
aisa darya jo kesi aor sumandar mai giray
is say behtar hay k muj ko mera sehra la day
kuch nahi chahiyay tuj say ay meri umer-e-rawan
mera bachpan, meray jugnoo, meri gurhiya la day
naiya mosem meri binaiee ko tasleem nahien
meri ankhoon ko wohi khawab purana la day
jis ke ankhain mujay andar say b parh sakti hoon
koi chehra to meray shaihar mai aisa la day
kashti-e-jaan to bahnwar mai hay kahi barsoon say
aay Khuda ab to dhuboo day ya kinaara la day