Ik Aur Rang Tanhaai Ka
Bhool say gayay haiN nigaah-e-mast kay jalway
Na dil ko hai yaadab woh kasmasahat
Na ziNdagi maiN kisi ki shokh haNsi
Hyaat kitni berung si hui jaati hai
Na kisi ka woh meray liyay saNwarnaa
Na kisi ka ab woh baybaat jhaghranaa
Na subaah raah daikhay hai na shaam ko hai koi umeed
Na “hum-tum” ki woh baybaakiaN
Na “hum-tum” ka woh lutf-e-sukhan
Na jismoN ki woh nazdeekiaN
Nihaan jismay roohoN ka milan
Koi nahi koi nahi jo jalaayay mahabbat ki lau
Koi nahi koi nahi takhleeq meri jispay nisaar ho
ZulmatoN maiN bhatak rahaa hai meray ishq ka muqaddar
TanhaaioN maiN tarap rahaa hai meray khwaaboN ka samNdar
Zeest ik baar si hui jaati hai
Takhleeq meri beyzaar si hui jaati hai
Meaning:
NihaaN-nihit,chuppa hua
ZulmatoN: ANdhayroN
Takhleeq- Rachna,poem
Baar-bhaar