bohat saray jashn-e-azaadi per threads dekhay ..aksar to videos per hain ..jis say abhi tak main mehzooz nahi ho sakee .khair replies say andaaza ho raha hay k woh kitnay dilchaso hon gay
is jashn-e-azaade ki muhim main ik chootee say mere bhi derkhuwast hai k kia aisa mumkin hay ajj say lay ker 14 aug tak pooray gs main , yahan tak k blogs main bhi hum sub sirf URDU hee main posts or replies kerain
urdu say muraad urdu font to nahi k woh her k paas nahi ho sakta ..roman urdu hee is ka asaan haal hay
mujhay andaza hay k yahan kuch roman urdu ko sahee nahi likh perh saktay
to un k ilawa jo ker saktay hain woh ker lain to?
main apnay is idea k baray main zyada pur umeed nahi ..shaid aksar is ko na pasand hee kerain !