makhroor hi sahi mujay acha bohat laga
wo ajnabi tu tha mager apna bohat laga
rottha hua tha hans tu para muj ko dakh ker
muj ko tu is kadr bhi dalasa bohat laga
sahra main ji raha tha jo derya dilli kay satth
dakha jo khor say tu piyasa bohat laga
wo jiss kay dam qadam say theen basti ki ronqain
basti ujer gaye tu akayla bohat laga
lipta hua ho koher main jasay khazan ka chand
maylay libas main bhi wo piyara bohat laga
rasham pahan ker bhi mari qimat na berh saki
khader bhi us kay jisam per mehnga bohat laga
mohsin jab aenay pay mari sans jam gaye
muj ko tu khud apna aks bhi dundla bohat laga
(MOHSIN NAQVI)