Jama ul Quran ko lijiye…Itna bara wakaya lekin isko sirf ek Sahabi rawayat kerta hai, wo bhi sirf ek hi shakhs se jo unn sahabi ki wafaat ke baad paida hua, wo bhi sirf ek hi shakhs ibne shahab zahri se bayaan kerta hai…yani 200 saal tak ye wakaya sirf 3 logon ko maloom tha, kya yahi hota hai ijmaa e ummat Jab iss baat par Khulafa e Raashideen ke zamanay mein koi ijmaa nahin tha balkeh kisi shakhs ko iss wakaya ki khabar tak na thi, 200 saal tak ye raaz seena ba seena ek ek aadmi se aagay chalta raha, kya issi ko ijmaa kehtay hain Haan zahri ne likh diya aur baad ke logon ne uss zahri ki rawayat ko maan liya to isko ijmaa e ummat ka naam de diya…ye kaisa aur kis baat par ijmaa hai ke iss wakaya ki origin ke loag isko bayaan hi nahin kertay, 200 saal baad zahri sahib pe inkeshaaf hota hai aur wo ye raaz kholtay hain…
Agar ijmaa e ummat issi ka naam hai ke jo wakaya mashoor hai wo laazman sahi hai to janab e mann ne shaaid Shiblee Naumani ki “Seerat Un Nabi” nahin parhi…kitnay hi mashoor wakayaat jin par ummat ka ijma hai unko shiblee naumani aur Syed Suleman nadvi ne challenge kya hai balkeh ghalat sabit kya hai…
Maslan Hijrat e Madina ke waqt ghaar e Saur mein hazrat Abu Bakr(RA) aur hazrat Muhammad(PBUH) ne 3 raatein guzari , iss par aik wakaya hai jisko saari ummat e musalma maanti hai ke jab kuffaar wahan aaye to aik makri ne wahan jaala buna hua tha , “Seerat un nabi” mein isko ghalat kaha gaya hai …
Iss par bhi ummat ka ijma hai ke hazrat hamza(RA) ko hinda ne shaheed kerwaya lekin sahi bukhari mein iska inkaar majood hai, kisko maanein Imam bukhari ki baat ko ke ijmaa e ummat ko??
Hijrat e madina ke baaray mein saaray tareekh daan hi nahin saara aalam e islam muttafiq hai ke raat ko hui aur hazrat Ali(RA) ko Hazoor(PBUH) ne apnay bistar pe sulaya, lekin Sahi Bukhari kehti hai ke ye ghalat hai…Ijma e Ummat ko maana jaaye ke imam bukhari ko
Ijma e ummat ka naam hamesha unhi logon ne liya hai jo tehqeeq ke aagay baybas ho gaye aur unse jawab nahin bun paaya warna agar ijmaaye ummat sahee baat par hai to uskay to beshumaar naqabil e tardeed dalaail honay chaahiye na ke kisi ki tanqeed se ghabra ke ijmaa e ummat ka alam buland kiya jaaye…Tareekh gawah hai ke ijma e ummat ka naara hamesha usne lagaya hai jis par apnay mauqaf ki ghalati wazeh ho gayi ho…
Shah Abdul Azeez aur Ibne Taimaiyya ne waqaya e Karbala ki bouhat si baaton ka inkaar kya hai yani aisi baaton ka jo ijmaa e ummat thi…kya kahain gay unko ke wo nayee cheez pesh kerne ke shauq mein ye sab kar gaye
Jahan aapne samajh liya ke tehqeeq aur aql ka darwaza bund ker do wahan se andhi taqleed ka aghaaz hota hai…
Phir imam mehdi ke aqeeday ko aap kehtay hain ke ye ijmaa e ummat hai…
phir aap ye bhi maantay hain ke ye sirf rawayaat se sabit hai Quran se iska koi saboot nahin, ab in rawayaat ko dekhiye, Imam Malik ko koi rawayat nahin milti yani unka imam mehdi ki aamad ka aqeeda nahin tha kyunke ye aqeeda to rawayaat se sabit hota hai aur unke paas yakeenan isko koi hadith na thi, imam bukhari bhi mehdi ka naam tak nahin letay, imam muslim bhi…
Hairat hai ke jo cheez ijmaaye ummat thi itna aham islami aqeeda tha uski imam malik waghera ko khabar tak na thi
Phir jitni ahadith hain wo sab ki sab koofa mein bani aur unkay raavi koofi hai…Isko aap ijmaaye koofi keh saktay hain ijmaaye ummat nahin, warna madni raviyun ki koi hadith bata dijiye jo mehdi ke baaray mein ho…Agar baad waalon ne koofa waalon ki rawayaat par aitbaar kar liya to ye ijma e ummat nahin ban jaaye ga…Kisi ghalat cheez par muttafiq ho jana ghalat ko sahi nahin bana deta…Eesaal e sawab par bhi to ijma hai lekin ye aqeeda Qurani ayaat ke khilaaf hai…ilmi behas mein ijma e ummat ki daleel zero se ziada nahin hoti…kesa ijma e ummat hai ke koi zara si tanqeed ker de to kisi se uska jawab nahin banta sivaye ijma e ummat ki ratt ke ??