Situation kuch iss tarha ki hoti hay
Abhi do din pehlay ki baat hay, knock hua, Main nay darwaza khoola. Aik khatoon achhay khaasay hulyay main. Farmati hain "*Mairaa naam < whatever > hay, aur main foundation ki taraf say aai hooN. Yeh foundation sick kids kay liyaay funds jama karti hay jiss say toys aur doosri cheezain khareedi jati hain… blah blah blah *… koi 3 minute ki taqreer kar di unhooN nay.
Ab main unn say yeh kaisay kahooN "oye Jhooti bhagoo yahan say, aa jatay hain bheek maangnay… "
Main nay sharafat say unhain kuch day dilla kar jaan churai
I hear ya Unckeel G. I used to give money to whoever . Now I don't. I do feel bad but am not gonna give money to someone that am not sure about. I know there are so many crooks out there.
simply make your donations where you feel comfortable - most importantly, where you know that its going to the right place/person.
Next time jab masjid say niklo tu bahar faqeer say kehna “Bhai sahib mujhay yaqeen hay aap buhat zarooratmand hain. Please apna shankhti card dikha dain aur apnay bank ka letter bhi takay mujhay pata chal sakay kay aap waqai ghareeb hain”