**ghanay darakht kay neechay sula kay chourr gaya
ajeeb shakhs thaa sapnay dikha kay chourr gaya
yeh ujra ghar tou ussi aik ki nishaani hai
jo apnay naam ki takhti laga kay chourr gaya
ham tou tinkay chunn rahay thaay aashianay kay liye
aap say kis nay kaha bijli giraanay kay liye
haath thak jayein gein Q pees rahay ho mehndi
khoon hazir hai hataili pay lagaanay kay liye
ishq ko dard-e-sir kehnay walaoun sunou
kuch bhi ho hamnay yeh darda-e-sir lay liya
woh nigahoun say bach kar kahan jayein gein
abb tou unn kay muhalay may ghar lay liya
aye bun thun kay sher-e-khamoushaaN may woh
Qabr daikhi jo meri tou kehnay lagay**
** aray aaj itni tou iss ki taraqee huwi
aik bay ghar nay acha sa ghar lay liya
idher zindagi ka janazah uthay ga
udher zindagi unn ki dulhan banay gi
Qayamat say pehlay Qayamat hai yarou
meray saamnay meri duniya lootay gi
jawaani par meri situm dhaaNay walouN
zara souch lou kiya kahay ga zamanaa
idher meray armaaN Qafn pehan leiN geiN
udher unn kay hatouN pay mehndi lagay gi
woh parday kay peechay mai parday kay aagay
na woh ayein aagay na mai jaouN peechay
woh aagay barhein gein tou kuch bhi na hoga
mai peechay hatouN ga tou duniya hansay gi
azul say muhabat ki dushman hai duniya
kaheen dou dilouN ko milnay na day gi
idher meray armaaN
idher meray dil par khanjr chalay ga
udher unn kay maathay par bhindiya sajay ga
**** idher zindagi ka janazah uthay ga
udher zindagi unn ki dulhan banay gi
Qayamat say pehlay Qayamat hai yarou
meray saamnay meri duniya lootay gi
abhi unn kay hansnay kay din hain woh hans lein
abhi meray rounay kay din hain mai rouN louN
magar yeh ik din unn ko rouna paray ga
kay jis din bhi meri mayut uthay gi
**** idher zindagi ka janazah uthay ga
udher zindagi unn ki dulhan banay gi
Qayamat say pehlay Qayamat hai yarou
meray saamnay meri duniya lootay gi
EMM ne Jise dil diya woh delhi chala gaya
EMM ne Jise pyar kiya woh italy chala gaya
EMM ke Dil ne kaha ab to khud kushi kar lo zaalim
Usne khudkushi ke liye bijli ko haath lagaya to bijali chali gayi