Wo moj-e-tabassum shagufta shagufta
wo bhola sa chehra kitabi kitabi
Wo sunbull say gaisoo sunehray sunehray
Wo makhmoor aankhein gulabi gulabi
Kaf-e-dast-e-naazuk hinai hinai,
Wo lub shiren shiren shahabi shahabi
Wo batoon mai jaadoo, adaaon mai tona,
Woh duz_deeda nazrein uqaabi uqaabi
Kabhi khush mizaaji, kabhi bay niazi,
kabhi hoshiyari, kabhi neem-khabi
Qadam behkay behkay, nazar khoi khoi,
Woh makhmoor lehja sharaabi sharaabi
Na harf-e-takkalum, Na saee-e-takhaatub
Ser-e-bazm lekin bahum hum kalami..
Idher chund aansoo sawali sawali,
udher kuch tabbasum jawabi jawabi
Wo sailaab-e-khushboo gulistaan gulistaan
Wo sarv-e-khiramaan baharaan baharaan..
Farozaan Farozaan jabeen kehkashaani,
Darakhshaan Darakhshaan nazar maahtabi
Na honton pai surkhi, na aankhon mai kaajal,
na haathon mai kangan, na pairon mai paayal
Magar husn-e-saada misaali misaali,
jawab-e-shimaail faqat laajawaabi
Wo shehr-e-nigaraan ki galyon k phairay,
Ser-e-koo’ey khooban faqeeron k dairay
Magar harf-e-purshish, na azn-e-guzaarish,
kabhi na muraadi, kabhi baar-yabi
jo gaisoo sunehri thay ab nuqraee hain,
jin aankhon main jaadoo tha ab baa-wazoo hain.
Yeh pakeeza chehray, yeh masoom ankhain,
na wo bay hijaabi, na wo bay naqabii
Yeh sab kuch kabhi tha, magar ab nahi hai,
k aawara Farhaad gosha nasheen hai..
..Na teesha badoshi, na khaara shigaafi,
na aahain, na aansoo, na khana kharabi