Ho na duniya mein koee hum sa bhi pyaasa logon
Ji mein aati hai ke pee jaaein ye darya logon
Kitni iss shehar ke sakhion ki suni thi.n baaten
Hum jo aaey to kissi ne bhi na poocha logon
Sab ke sab mast rahey apne nihaa.n khanon mein
Koee kuch baat musaafir ki bhi sunta logon
Aik tasweer thi kya jaaniay kis ki tasweer
Naqsh mo-hoom hai aur rang u.dha saa logon
Aik aawaz thi kya jaaniay kis ki aawaz
Uus ne aawaz ka rishta bhi na rakha logon
Ha'ey ye dard ke mushkil se thama tha dil mein
Chaand poonam ka abhi se nikal aaya logon ????
Ab koee aaey to kehna ke musafir to gaya
Ye bhi kehna ke bhala ab bhi na jaata logon ????
nice poem, indeed!
do nikaat kii taraf aapkii tavajjoh mabzool karaanaa chaahuuNgaa agar baar e Khaatir na guzre to: awwalan to yeh k yeh mujhe ek musalsal Ghazal lagtii hai kiuN k nazm kaa koii title aapne nahiiN diyaa...agar nazam hotii to iskaa koii title hotaa...chuN k Ghazal kaa koii title nahiiN hotaa is liye is kalaam ke ek "musalsal Ghazal' honaa kaa qiyaas maGhloob hai...aap nazar e saanii farma alijiiyegaa:
doyam yeh k aap ne ba_taur radeef "logoN" likhaa hai jisse qaare'iin ko "LOG kaa seGha-e-jam'a LOGON" kaa gumaaN guzartaa hai [yeh ho saktaa hai roman Urdu kaa qusoor ho!] dar asl yeh lafz-e-taKhaatub hai ya'nii 'LOGO" [o people!] :)

tamaam ashaar k context main rabt hai, es leay esay poem keh saktay hain, normally ghazal main aik shair ka meaning doosray shair se mutabiqat nahi rakhta, but its not a rule.

nahiiN janaab...agar ek Ghazal ke tamaam ash'aar men hanm-aahangii-e-Khayaal paayaa jaaye to aisii Ghazaliyaat ko *musalsal Ghazal *[continuous Ghazal] kahte haiN...jis meN Khayaal kii ham-aahangii hotii hai! :)
I already told you its not a rule, but I read it somewhere.
to phir is nazam kaa koii 'unwaan bhii hogaa...vo kahaaN hai? nazam kii apnii ek Khaas haiyat [structure hotaa hai] jiskaa foqdaan mujhe is kalaam men nazar aayaa. nazmoN ke kuchh aham ajzaa hote haiN jo is kalaam men nadaaarad hai! mere Khayaal se to musalsal Ghazal hii hai...baaqii aap bahtar samajhte hoNge! :)
do nikaat kii taraf aapkii tavajjoh mabzool karaanaa chaahuuNgaa agar baar e Khaatir na guzre to: awwalan to yeh k yeh mujhe ek musalsal Ghazal lagtii hai kiuN k nazm kaa koii title aapne nahiiN diyaa...agar nazam hotii to iskaa koii title hotaa...chuN k Ghazal kaa koii title nahiiN hotaa is liye is kalaam ke ek "musalsal Ghazal' honaa kaa qiyaas maGhloob hai...aap nazar e saanii farma alijiiyegaa:
doyam yeh k aap ne ba_taur radeef "logoN" likhaa hai jisse qaare'iin ko "LOG kaa seGha-e-jam'a LOGON" kaa gumaaN guzartaa hai [yeh ho saktaa hai roman Urdu kaa qusoor ho!] dar asl yeh lafz-e-taKhaatub hai ya'nii 'LOGO" [o people!] :)
tasleemat uncle. Kaise hain aap? kahan ghayab rahe?
to phir is nazam kaa koii 'unwaan bhii hogaa...vo kahaaN hai? nazam kii apnii ek Khaas haiyat [structure hotaa hai] jiskaa foqdaan mujhe is kalaam men nazar aayaa. nazmoN ke kuchh aham ajzaa hote haiN jo is kalaam men nadaaarad hai! mere Khayaal se to musalsal Ghazal hii hai...baaqii aap bahtar samajhte hoNge! :)
kia ajzaa hain ji, hamaara ilm main bhi izaafa farmaen?
wesay mere haqeer ilm k mutabiq, nazam k ajzaa wo nai hotay jo aap btayen aur main kharaab ho jaon :p
vo nahiiN sunaa kia k:
**
paRhoge, likhoge to hoge Kharaab
kheloge koodoge to banoge nawaab!** :)