thanks everyone and LOL@everyone concentrating only on one shair 
Someone once asked Hadhrat Imam Ghazali:rehm: the reason of his enormous knowledge and he replied: “Whenever I find something that I don’t know, I ask about it to the person who may have the knowledge about it regardless of his age and status.”
This saying of Imam Ghazali :rehm: had always been a source of light for me in the path of knowledge for I did not have any clue of Iqbal’s poetry when I first read/heard it.
anyway, here is my understanding of it:
Kehtaa thaa Azaazeel, Khudaa wand-e-JahaaN say
Parkaala-e-Aatish huvee Adam kee kuf-e-khaak*
yahaaN insaanouN ko Iqbal nay ghaur-o-fik’r kee daawat dee hai kay dekho jo kaam shaitaan kaa thaa aaj insaan khud woh kaam kar rahaa hai..
Parkaala-e-Aatish = Aag kaa shararaa
kuff-e-khaak = muTThi bhar mitti
yahaaN shaitaan kaa wohi ghuroor waalaa lehjaa dikhayaa gayaa hai jub uss nay Adam ko sajdah karnay say yeh keh kar inkaar kar diyaa tha kay insaan mitti say banna hai aur shaitaan aag say.. ab shaitaan keh rahaa hai kay insaan kee chutki jitnee mitti apnay kaamouN say parkaala-e-aatish ho gaiee hai
JaaN laaghar-O-Tunn farba-O-malboos badan Zeb
Dil naza’ kee haalat maiN, khird pukhtaa-O-chaalaak!
jaan kamzor hai, jism dunyaavi aasaaishouN say bhartaa chalaa jaa rahaa hai aur khoob say khoob libaas insaan passand kartaa hai zaahiri dikhaaway kay liye laikin dil kee maut qareeb hai.. insaani ravaiiyouN kee maut ho gaie hai.. dil say aik doosray kay liye ehsaas uTh-taa jaa rahaa hai laikin dimaagh shaatir hai.. har aan insaan aik doosray say aagay baRhnay kee tug-O-dau maiN hai gar yeh tug-O-dau naa jaaiz hee kiouN naa ho..
Naa paak jissay kehti thee Mashriq kee shariat
Maghrib kay FaqeehouN kaa yeh Fatwah hai kay hai paak
i think it’s self explanatory
All those muslim people whom u will find today arguing against ALLAH & Rasool :saw:.. and the reason is the corrupted faith they have adopted…
Tujh ko naheeN maaloom kay Hooraan-e-Bahishti!
Weeraani-e-Jannat kay tasawwur say haiN ghum naak?
i think other replies can tell u, everyone got it:D basically it means Allah kay naik bandouN kee kami hoti jaa rahi hai aur insaan khud shaitaan kay naqsh-e-qadam par chull kar shaitaan buntaa jaa rahaa hai
Jamhoor kay Ibless haiN Arbaab-e-Siyaasat
Baaqi naheeN abb meri zaroorat tahey Aflaak
Jamhoor = Republic , nation, democracy
shortly speaking, shaitaan nay politicians ko apna bhai qaraar day diyaa hai
cuz they too are making this world a chaotic place like shaitaan …
like Zia ul Haq Qasmi said:
Huj adaa karnay gayaa thaa qoum kaa leader koie
Sung baari kay liye pass shaitaan kay gayaa
aik hee kankkar phaiNknay par sadaa uss nay yeh sunni
tum tau apnay hee aadmi thay, tum ko aakhir kiyaa huvaa?