Re: Ibadat…
Nice :k:
Re: Ibadat…
Nice :k:
Re: Ibadat...
waise khuda ke aage ye argument nahin chal sakta... kiyun ke wo ibadat karne ko bhi kehta hai aur uss se maangne ko bhi pasand karta hai
Re: Ibadat...
waise khuda ke aage ye argument nahin chal sakta... kiyun ke wo ibadat karne ko bhi kehta hai aur uss se maangne ko bhi pasand karta hai
ba_Khuda, maiN bhii yehii kahne waalaa thaa k aisii shaa'irii na jaane kiuN kii jaatii hai? kia jaa ba jaa Qur'aan meN ibaadaat kaa silaa jannat nahiiN bayaan huaa? bas alfaaz ke ulaT pher se shaa'irii karne waaloN se Allah bachaaye!
Re: Ibadat...
Ji bilkul sahi kaha kuch shairi aisi hoti hain ky Allah bachay, pr is shair ka matlab jo mainy samjh wo yeh hy ky sirf sajdon sy hi jannat nahi mil jati apko be loos sachy dil sy Allah pak ki hr waqt ibadat main rehna hoga.
sirf namaz ky waqt ap Allah pak ko yaad karain baqi waqt na karain,yeh to wahi baat hogai ky ek mazdor jaisy sara din kaam kary ky akhir main usy mazdori mily gi, chahy wo sachy dil sy wo kaam kry ya na kry.....
main yeh nahi kehti ky namaz na parhain yeh zarori hy pr khali sajdon sy khuda ki qurbat nahi milti, sachy dil usay hr waqt hr khushi main or gham main yaad karna chahaya, jaisy belos muhabbat apny Rab sy ho.

to kis ne man'a kiyaa magar namaaz 5 hii waqt kii Allah en farz farmaayii hai...koii yeh kahe k maiN apnii laus yaa be-laus 'ibaadat se jannat meN daaKhil ho jaauuNgaa to vo bhii Ghalat hai...Allah kaa raHm o karam na ho to koii nahiiN daaKhil ho saktaa jannat meN...isii liye qasr kaa Hukm hai safar meN...agar koii yeh kahe k nahiiN, maiN to poorii namaaz paRhuuNgaa to vo Ghalat hogaa kiuN k yeh kufraan-e-ne'mat hogii jise Allah pasand nahiiN farmaataa.
**
kasrat e iibaadaat se nahiiN bal k qubooliyat-e-'ibaadaat se aur Allah ke raHm o karam ke baa'is insaan jannat meN daaKhil hogaa! **
Re: Ibadat...
Dua taqdeer ko badal deti hai/
Re: Ibadat...
Yeh to koi bhi nahi janta ky usky sajdon ky badly usy jannat mil jay gi, Allah pak ko apny bandy ki kia ada pasand ajy hum nahi janty,apny safar ki baat ki koi insan sala saal safar ki haalt main nahi rehta, ibadat main sirf namaz parhna hi to nahi aty na yeh baat main kahna chah rhi hon, namaz parhna zarori hy pr or bhi ibadat hain jo insan kr sakta hy, agr insan ky dil main apny Rab ki muhabbat hy na to wo chahy safar main hi kyun na ho wo apny dil ko khuda ki yaad main rakh sakta hy zikar ky zrya uski ibadat main reh sakta.
safar ky doran headphones laganay sy kahin behtr yeh hy jahan ap apny Rab ky sath attach rahain.