Sheen bhen ji aik wish to bohat achchi hai doosri utni hi budnuma yani pari aur film dekhnay jati. Agar yay kehteen kay bagh main sair ko sub doston kay saath jateen aur halla gulla hota to ziada behtar tha (phir to main bhi aap ki dost bunna pasand karti). Filmain to ziadatar baqwaas hoti hain.
Hmmmmm sheen behn ji ya to kam chor (meri tarha) lagti hain ya inper bohat ziada kaam ka bojh say jis say yay chutkara chahteen hain.
Patton main ghar aap ka hota to barish main beh jateen aur taiz hawaon aur tufanon main kaheen ka kaheeen ur’ kay ponhach jateen.
Sub kuch ho jana kon sa musla hai sidz angel say unki char’i udhar lain aur zor ka ghuma dalain. Phir daikhain kia hota hai.
Aap aisa karain apnay kamon say aik break lain yani apnay watan ghoom ain ya buchchain hon agar ya aap married hain to phir kuch dinon kay liaay maikay chali jain ya phir buchchon ko aik din daycare main chor’ain aur khud sara din apnay husband kay saath ya sahailion kay saath enjoy karain.
Aap apnay buchchon ko meray paas chor sakti hain aik din kay liay main sambhal doon gi agar hon to FREE main.
Main nain khol rakha hai na harri puttar wala school aap log ajain main FREE admission doon gi.
Par aap logon ko khud khareednay hongay mujh say sorry wo FREE naheen hai.
Ur'nay kay tareeqay seekhaon gi baqi ur'na aap ka apna kaam hai. Agar ur' na sakeen aur gir kar khajoor pay atakay zameen par gir par'een to wo mera ya meray paron ka qusoor naheen hoga balkay aapka apna qusoor hoga kay aap ko seekhna hi naheen aya.
Haan admission kay waqt aap logon ko aik form pay sign karna hoga kay ur'tay waqt girnay ki soorat main paron aur intazamiya ko qusoorwar naheen tehraya jaay ga. Ahtiati tadabeer kay tor pay yay kia jaay ga. Kioon kay log apn ghaltian doosron pay dal daitain hain.