I want More

Hum ko Riaz Maantay haiN, jaantay hain sub
Hindustan mein dhoom hamari zubaaN ki hay
(Riaz Kher-abadi)
.

Urdu hay jis ka naam humeiN jaantay hain Daagh
Hindustan mein dhoom hamari zubaaN ki hay
(Daagh Dahalwi)

Re: I want More

*Qismat to dekho tooti hay jaa kar kahan kumand
Do chaar haath jabkeh lab-e-baam reh gya
*
(Shaad Peer Meer)

*Qismat ki khobi dekhiye tooti kahan kumand
Do chaar haath jabkeh lab-e-baam reh gya
*
(Qaim Chand Puri)

Re: I want More

Zindagi naam-e-muhabbat hay, muhabbat bandagi
Zindagi be-bandagi, be-ghairati, sharmindagi
(Saahir Qudwai)
.

Zindagi aamad baray bandagi
Zindagi be-bandagi, sharmindagi
(Saadi)

Re: I want More

Qabool Hay Gham-e-dunya tere hawale say
Yeh boojh warna sambhalta nahin sambhale say
(Shahin Ghazi Puri)
.

Juda hua tha to yaadein bhi saath lay jaata
Yeh boojh ab to sambhalta nahin sambhale say
(Nasir Zaidi)

Re: I want More

Tum Karo Aah to ek hashar Bipa ho jaaye
Aur meray qatal ka charcha nahin honay wala
(Haider Aazmi)
.
Hum aah bhi kartay hain to ho jaatay hain badnaam
Woh qatal bhi kartay hain to charcha nahin hota
(Akbar Alah abadi)

Re: I want More

bhuhut khoob:)

Re: I want More

:k: nice

Re: I want More

Wah… Zabardast Very nice… Umar Keep it up :k: :flower1:

Re: I want More

I copied it from a column (by Nasir Zaidi), and credit goes to him.

But yes, as some one amongst us finds something like this, please share it. I also liked this a lot. I mean how "Famous" poets copy word and ideas.

Re: I want More

Hmmm kafi mehnat ki hay is pay...
good