I need to share something

Wishkamar aap ziada na socha karain unkay baray main. Na hi unki accident kay baray main. Aap ko sock laga hai bohat unkay accident ka is liaay aisa ho raha hai.

Aap na sirf unko yaad karteen hain balkay accident kay baray main bhi sochti hain kay kaisay huwa hoga ya kia huwa. Yay sub sochna chor dan.

Pehla khuwaab Allah ki taraf say ya aap ki soch kay mutabiq wo shayad Achcha rutba paa gaay hain. Is liaay wo aap ko batanay kay liaay hai ya aap aisa samjhti hain.

Accident say marnay walay shaheed hotay hain. Naik loag hi aksar jaldi martay hain. Yaqeen wo aik achchay insaan hon gay. Allah say qawi ummeed hai kay wo Qabr main khush hon gay. Insha Allah.

Aap un kay liaay ziada say zida dua kia karain. Aur unkay accident kay baray main kay kia huwa? Kioon huwa aur kaisay huwa? ya is qism kay sawalat waghaira sochna chor dain.

Jis din aap unko yaad karain gi khuwaab main daikhain gi. Jub bhi unki yaad aay dua karain unkay liaay aur yaay zahan nasheen kar lain kay wo Achchi halat main hon gay aur unko accident main koi takleef naheen ponhchi.

Aap apnay zahan ko yay bawar karain kay Aik na aik din sub nain marna hai unka time itna hi tha.

Aap unsay pyar bohat karti hain is liaay bhi aisa hota hai.