i m in fever : (

**us ki chahat nay mujhay dikhaye her rang **
serdion main zukam germion main bukhar gerum

**us ki bataaon main chupay hain aisay Asrar **
kay us ki bakwass say damagh mera ho gya band

**us ki ik muskurhat per waar dono yeh dono jahan **
**peelay dantoon ki numaish say bayzar hon ik dum **

Ankhaoon ka na poocheye kia jadoo sa chalain
aisay hain juda jaisai pak o india main ho jhang

zooq main itnay nafees k kia hon gay koi shehnsha
gobhe kay phool la ker mere dil per dhatay hain situm

**un ki sadge pey kon na mer jaye aay khuda **( yeh misra churaya gya hay )
kehtay yoon na dekheye BAJEE mujhay atee hay sherum

shaira-e-mashriq problem girl

plz mods and admin dont move it in poetry sec .. i want to share it with cafties

dosra mujhay yeh bhi pochna gala theek kernay ka asan tareena tareeqa kia hay tablets kay ilawa : (

Re: i m in fever : (

**

Aik glass garam paani main do chamach namak daal kar gharaaray karo…(Yeh gharaaray pehnay waalay nahin, karne walay hain…)

Re: i m in fever : (

^ yeh sub main ker chukee , joshanda bhi pee chukee

koi or tareeqa ?

Re: i m in fever : (

uss say kehya green tea with poodina buna day :smiley:

waisay nazm bhut achi hey :cu2:

Re: i m in fever : (

bus abhi bethay bethay AAmad ho gayee : P

mera khiyal hay thanda thanda paani pee loon

suna hay zehar zehar ko marta hay : D

Re: i m in fever : (

:nono1: thaanda paani nahin acha ..

Re: i m in fever : (

Zeher ko zeher maarta hai…

Kahin khud thandi na parh jaana…

Re: i m in fever : (

:bb:

PG get well

Re: i m in fever : (

**niyal **> gala kharab hay to is ko kharab cheez he doon ge ab saza kay tor per : D

lakin mainy suna hay insan ko cooooooooooooool hona chaye : P

Blueberry > tumharay yeh phool Gobhee kay phool say itna miltay kion hain ; )

thanx : )

Re: i m in fever : (

gala kaaT dau..

Naa rahai gaa baaNs, naa bajaY gee Baansri :jhanda:

Re: i m in fever : (

yeh dawa ka nahi
dua ka waqt hay :frowning:

Hum nay tumhain maaf kiyaa :flower1:

Re: i m in fever : (

Allah Akbar!!!

churi phairnay wala icon

Re: i m in fever : (

Khaal Edhi center koo
sri paiey qasai ko day dainaa :devil:

Re: i m in fever : (

BWHAHAHHAHAHAHA@ MAQTa :hehe:

but issaY churaayaa huaa misra naheeN kehtaY… aisaY misroN ko Quotes >> " " maiN likhtaY haiN aur end maiN bataa detaY haiN kaY kiss kaa hai.. misaal kaY taur par Gul-e-Nokhez Akhtar kaa yeh qita:

Homeo pathy ho, yaa ho elo pathy Doctor
inn maiN saY aksar nikaltaY haiN faqat Compounder

Fees laY laitaY haiN magar baat tukk suntaY naheeN
Aaj kal Masroof haiN saaraY mu’aalij kiss qadar

Har Galli aur har mohallaY maiN millaY gaa ik Hakeem
“Neel kaY saahil saY laY kar Ta ba Khaak-e-Kaashghar”

:halo:

Re: i m in fever : (

haan app to chahtay hain mujhay azeem shaaira kissi din khatam ho or ap ko agay anay ka moqa milay * snooty *

lakin abhi to mainy duniya main dekha hee kia hay * crying *

sadaf sadaf sadaf main koi tamatar pyazz nahi hoon hosh main aain main app ki aziz tareen dost pg ..AQ ki bataoon main aker app kia ghazab ker rahe hain

maqta kia hay ?

Re: i m in fever : (

:rolleyes: Last sher of the poem [does not have to have poet’s name]

Re: i m in fever : (

:barbie:
ab pachtaey kia hoat
jab chiryan chug gaien khet.

Re: i m in fever : (

Sadaf Khala:eek: aap kee shaakal-e-Mubarak ko kiyaa huaa :eek: ?

Re: i m in fever : (

[QUOTE]
Last sher of the poem [does not have to have poet's name]
[/QUOTE]

AQ> acha acha mujhay pata tha main to app ka test lay rahe thee : P

SADAF> koi baat nahi main bhi rooh bun ker app ko darayna nahi na to phir dekhna app * mad *

Re: i m in fever : (

ab main tum ko roses to naheen doon gee na :stuck_out_tongue: :hoonh: